इस लेख के लिए टिप्पणियाँ बंद हो गयी है..

टिप्पणियां

D B S SENGAR

aaj afganistaan me jo ho raha he, uske liye duniya ke 56 muslim desh kya kar rahe he ? kisi ek ne bhi taalibaano ke julm ke khilaaf ek bhi sabd apne muh se nahi nikala he, turkey, paakistaan, bangla desh aur bhi kai desh jab hamaare desh me videsho me pratadit hinduo, sikho, jaino, budho, ko vapaas hindustaan ki naagrikta dene ka kanoon bana tha tab sabhi muslimprast desh ki paartiyo ne kaha tha isme "" MUslim" kyo nahi jode, are vevkoofo ab dekho ek bhi desh haa ek bhi desh muslim afganistaaniyo ko apne yaha saran nahi de raha he.. mihilao, bachho par goliya chalai jaa rahi he.. ab kya tumhare muho me babasir ho gaya he.. ab kyo nahi chati pitte ho ?
X REPORT ABUSE Date 26-08-21 (05:00 PM)

M V

Afghanistan me taliban ke ane ke baad India ko kai prakar ki chunaoutiya ka samana karna padega jaise :- Kashmir me atanki activities fir se badhne ka khatra hai. Aisa isliye kyunki taliban ko China ka pura support hai par India ka nahi. Isliye China ye kosis karega ki taliban ke madhyam se India ko roka jaye. India ne Afghanistan me jo investment kiye hai aur jine project me work chal raha hai ab unko start karne me waqt lagega. Pahla ye ki India abhi wait and watch policy apna raha hai ab dekhna ye hai ki taliban kya policy apna raha hai uski kya priority hai. India ko iske liye apne intelligence agency se baat karni chahiye aur kisi bhi khatre se nipatne ke idea par kam karne honge. Taliban ke aane se India ko economic, social, political etc. Par asar padega kyunki taliban ko sabhi country ka wishwas hasil karna hoga tab tak India koi kam Afghanistan me nahi kar sakta. Taliban India ke liye jyada muskil paida nahi kar sakta yadi ham apne desh ke andar chupe dusman ko pahchan le jo pal pal ki information ya desh ki security ki information bahar dete hai. Government me iske liye kuch rules banane chahiye jaise :- 1. jab desh ki security ki baat ho rahi ho tab media ki entry na ho Jisse gopniyta bani rahe. Ajkal dekhne me aa raha hai ki media me chhoti chhoti baato ko badha chadhakar dikhya jata hai jo galat hai. Media me pardarshita ki jarurat hai. 2. Election jitne ke bad Parliamenta me jo members aate hai sabse pahle unhe law education & deciplin education compulsory hona chahiye kyunki bahut se aise members hai jine desh aur desh ki janta se koi lena dena nahi hai bas apni roti sekne me lage rahte hai aise logo ke liye Election Commotion of India ko election form bharne se pahle sabki eligibility check karni chahiye aur minimum education compulsory karni chahiye. Jin members ke crime record hai unhe election ladne par ban hona chahiye aur unke upar jald se jald kanuni karyawahi honi chahiye. Yadi ham apne desh ko aage badhna chahte hai aur dusman se ladai jitna hai to sabse pahle ghar ke dusman ko marna hoga. Bahut se members apni popularity badhane ke liye media ke samne kuch bhi bolne lagte hai jinka koi matlab nahi hota. Jab desh ki security ki baat ho rahi ho tab sabhi political party ki ek awaz hona chahiye sabse pahle desh. Jin members dwara parliament me hangama kiya hai us din karyawahi nahi hone ke karan jitne rupees ka nukshan hua hai un rupees ki wasuli unhi members se kare. Kisi ne kaha hai " hamara desh jitna चोर उच्चको से बर्बाद नही होता बल्कि पढे लिखे लोगो की बेईमानी और निकम्मेपन से होती है।" तालिबान इंसानियत का दुश्मन है जो बेगुनाह लोगो को मौत के घाट उतार देता है, दूसरो की आजादी छीनकर खुशियाँ मना रहे है। आज जो भी देश तालिबान की बर्बरता को देखकर खामोश है या खुश हो रहे है यही तालिबान एक दिन उनके लिए मौत का सबब बनकर आयेगा इसलिए सभी देशो को मिलकर आतंकवाद के खिलाफ कड़ी कार्यवाही करनी चाहिए । जिन लोगो के द्वारा, संगठनो द्वारा, एजेंसी द्वारा और जिन देशो द्वारा आतंकी गतिविधियो को बढ़ाने हेतु फंडिंग की जा रही है उनकी पहचान कर कड़ी कार्यवाही करनी चाहिए और बैन लगा देना चाहिए। हमे तालिबान के साथ आगे बढ़ने से पहले सभी पहलू पर गंभीरता से विचार करने की जरूरत है । क्योंकि हमारे पडोसी मुल्क चीन और पाकिस्तान तालिबान की आड मे आतंकवाद को बढ़ावा देने की पूरी कोशिश करेंगे । चीन कभी नही चाहेगा कि भारत और तालिबान के संबंध अच्छे हो क्योंकि चीन तालिबान को फंड देने के लिए राजी हो गया है इसलिए तालिबान वही करेगा जो चीन चाहेगा । हमे सतर्क रहने की जरूरत है । अफगानिस्तान मे जो हालात है उसके लिए अमेरिका जिम्मेदार है । जिन्हे लगता है कि तालिबान के आने से उनके देश मे खुशहाली आ जायेगी तो वो ख्वाब देखना छोड़कर देश की जनता के बारे मे सोचे अपनी कुर्सी बचाने का नही । ये इन्सानियत के वो दुश्मन है जो किसे के सगे नही है । आज जो अपने घर मे बैठकर तालिबान की पी पी बजा रहे उन्हे यह बात याद रखना चाहिए कि और शुक्र मनाना चाहिए कि आज सलामत है हर इंसान को बोलने की आजादी है । लेकिन ऐसे लोगो को कौन समझाये की आज तालिबान मे होते तो क्या हालत होती । विचार करिये।
X REPORT ABUSE Date 13-09-21 (03:07 AM)