Nitish ji bapsi ka mukhya karan hai , unke dwara kya gaya vikas ka kam. Nitishji ne bihar ke har kshetra me kam kiya hai . Infrastructre ko dekhiye aaj bihar ke har gaon ko pakki sadak se jod diya gaya hai. pahle jahan school khaprail ka hua karta tha aur bachche ko jamin par baith kar padhna padta tha, school kum o dekhne se hi lagta tha jaise o stabal ho, aaj dekhiye har school me pakki do manjila building hai, sare school bench talbe se saja hua hai. hospital ki building ki bhi halat bahut kharab thi jo ki aaj chamchamata nazar ayega. social me bhi kafi kam hua hai, 50% mahilao ko panchayat me reservation mila hai, chhatraye ko cycle yojna se manowal badhaya gya hai. law & order ki halat me kafi sudhar hua hua hai, pahle jahan sham ke baad nikalna mushkil ho jata tha aaj der raat tak log ghar lautta hai. kul milakar har kshetra me kafi kaam hua hai, isliye nitishji ki wapsi tay hai.