aajadi ke 67 saal baad aaj bhi jab bhagat singh chandra sekhar aajad sarikhr krantiveer jab aaj ke bharat varsh ki durdasha dekhte honge toh ve log apne balidaan ko vyarth samjhte honge apne aap ko thaga hua sa mahsus karte honge ,jis aajad hindustan ka sapna unhone dekha tha aaj vahi hindustan bhrastachhar ke mamle me vishwa ke shirsh desho me h. desh ki khokhli sasan vyvastha ne aam aadmi ke man me desh bhakti ke vishy me sochne ki shakti hi samapt kar di hai.aaj mantri banna desh seva ki bhavna se nahi apitu pad ki lalsa aur apna ghar bharne ke liye 5 saal ki lottery ki ek skim ban ke rah gaya h. yahi haal prasasnik sevao aur anya vibhago ka h ,risvat toh khule aam li jaa rahi h.vahi dusri aor aal ke yuva sirf dosti yaari internet mobile mauj masti ki raginiyo me bargalaye se phir rahe hai.sharm ki baat h jis desh ki aajadi ke liye diwane bhagat singh ji sirf 23 ji aayu me fasi ke fande par jhul gaye the usi desh me aaj 23 saal ka yuva net , dosti , ishq ke khumar me bimar sa pada h